Assalam o Alykum
Pyare dosro kese hain ap log Allah tala se umeed he ap log kheriyat se hon ge
Dosto, Forum me register hone wale akser members ka yeh sawal hota hai ke is forum ko use kese kerna hai. to isi hawale se aj ham yeh post ker rahe hain keh ap is froum ko kese use ker sakte hain.
Jesa ke ap jante hain forum aik community hoti he jahan koi bhi shakhs apne matlab ki koi bat ker sakta he, dosti ker sakta hai, koi bhi pasand ki cheez dusron se share ker sakta hai(like pics, videos, books,etc), Zaroorast ki chiz mang sakta hai, ya mehz dekh ke enjoy ker sakta hai. To is ka aik tarika hota he jo aj ham ap se share karen ge ta ke ap ko forum use krne me koi pareshani na ho.
Thread kese banani hai?
Ab ham ap ko batate hain Thread kese banai jati hai
Thread Kia hai?
dosto sab se pehly ham ap ko batate hain Thread he kia?. jab bhi ap apne pasand ke kisi froum ko select ker lete hain aur ap chahte hain ke us forum me kisi new topic ko start karen to ap new Thread ke zariye ker sakte hain.
Misal ke tor pe ager ap Images ke forum me Funny Images ke new topic ka aghaz krna chahte hain to ap top pe right side "Post Thread" ke button ko daba ker new thread open ker sakte hain.
apni pasand ka Title den pasand ke images add karen or post ker den ab yeh aik new topic start hua ab yahan koi bhi reply me apni pasand ke images share ker sakta he post reply ke zariye, ya ap khud bhi post reply ker sakte hain.
ye same ayse hi he jese ap Facebook me aik post lagate hain "Apni pasand ki shairi post karen" or log niche comment me apni apni pasand ke images ya taxt me poetry share karte hen
New Thread kese open karna hain Image me dekhen